uthao sang ki hum mein sanak bahut hai abhi hamare garm lahu mein namak bahut hai abhi utar rahi hai agar chandni utarne de mahakti zulf mein teri chamak bahut hai abhi ye kal kisi nae mausam ki fasl katenge saron mein ahl-e-junun ke thanak bahut hai abhi use khabar nahin suraj bhi dub jata hai hasin libas pe nazan dhanak bahut hai abhi hamare pahle hi mausam ne hum ko tod diya magar tumhaare badan mein lachak bahut hai abhi hawa-e-waqt ne jhonki hai dhul aankhon mein hamari aankh mein lekin chamak bahut hai abhi dil apna un ki hatheli pe rakh bhi de 'anjum' tere khulus pe yaron ko shak bahut hai abhi