uThe hain hath dua ke us aadmi ke liye

uthe hain hath dua ke us aadmi ke liye
jo kaam karta hai duniya ki behtari ke liye

ilaj kya agar is par bhi thokaren khaen
mila zamir hai insan ko raushni ke liye

khilae phul kai phal kiye kahin paida
hazar neamaten paida kin aadmi ke liye

nai hayat ka paigham deti hai jab maut
to jaan kis liye de koi zindagi ke liye

khushi ke mare na bachte agar na hota gham
sahaara gham ka zaruri hai zindagi ke liye

jahan mein koi nahin gham se jo nahin waqif
kisi ko gham hai koi gham koi kisi ke liye

qadam qadam pe yahan ehtiyat lazim hai
maqam-e-aish jahan kab hai aadmi ke liye

rah-e-adam hai yahan sar jhuka ke chal 'sufi'
ye rahguzar hai khatarnak khud-sari ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close