uthne mein dard-e-muttasil hun main gard-baad-e-ghubar-e-dil hun main kabe tak sath aaya shauq-e-sanam hae but-khana kya khajil hun main haif kis muddai ki jaan hai tu hae kis aashna ka dil hun main tujh ko dun kya jawab ai dawar apne hi aap munfail hun main teri nazuk tani pe ghaur na ki apni ummid se khajil hun main na hila us ke dar se ta-mahshar marqad-e-arzu ki sil hun mein khak-e-hasti ki gard-baad hai tu aatish-e-dil ki aab-o-gil hun main had nahin koi apni haalat ki ki nigahon mein muntaqil hun main chha gaya ye tasawwur us but ka naqsh-e-chin aur but-chagil hun main zarra si zindagi pahad hui aankh ka apni aap til hun main ai 'qalaq' kyun ki chhod dun wahshat waza mein apni mustaqil hun main