utna nazdik hua jitna use dur kiya phir usi shakhs ki nafrat mujhe mashhur kiya rat-jaga chhod main is shart pe ab soya tha nind ke sath tera khwab bhi manzur kiya khamushi sabr ki hiddat se pighal sakti thi teri chaupal ke aadab ne majbur kiya tishnagi aur badhi jism ko jab dhanpa gaya aankh ne waqt ki tamsil ko makhmur kiya mujh makan-dar ko dar-pesh tha manzil ka sukun meri hijrat ne tera rasta makhtur kiya