viran thi raat chand ka patthar siyah tha

viran thi raat chand ka patthar siyah tha
ya parda-e-nigah sarasar siyah tha

tute hue makan ki ada dekhta koi
sarsabz thi munder kabutar siyah tha

main dubta jazira tha maujon ki mar par
chaaron taraf hawa ka samundar siyah tha

nashsha chadha to raushniyan si dikhai din
hairan hun ki maut ka saghar siyah tha

wo khwab tha ki wahima bas itna yaad hai
bahar safed o surkh tha andar siyah tha

chamka kahin na ret ka zarra bhi raat-bhar
sahra-e-intizar barabar siyah tha

is tarha baadalon ki chhaten chhai thin 'zafar'
sahmi hui zamin thi manzar siyah tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close