wafa ke badle tumhaara itab kaisa hai mohabbaton ka meri ye jawab kaisa hai tha aaj sang-e-muqaddar mere liye lekin tumhaare hath mein taza gulab kaisa hai wo qatl karte hain hum aah bhi nahin karte sitamgaron ko hamara jawab kaisa hai amir-e-shahr se kah do gharib-e-shahr koi fasil-e-shahr tale mahw-e-khwab kaisa hai agar hayat hai naghma to phir batae koi ye kulfaton ka musalsal azab kaisa hai na bund hi koi barsi na barq hi chamki hamare shahar pe chhaya sahab kaisa hai