wafa ke dagh ko dil se mita nahin sakta ye wo charagh hai tufan bujha nahin sakta mujhe kuchh aisi pilai hai chashm-e-saqi ne surur jis ka kabhi dil se ja nahin sakta kisi ki chin-e-jabin ko samajh dil-e-muztar khafa wo hain ki to ulfat chhupa nahin sakta qafas qafas hai gulon se saja kare sayyaad chaman ka lutf asiri mein aa nahin sakta kabhi is ujde chaman mein bahaar aaegi ye 'qadri' ke guman mein bhi aa nahin sakta