wafa ke sath mohabbat mein nam paida kar yunhi jahan mein qayam-e-dawam paida kar tere liye nahin kaunain mein jo gunjaish kisi ke dil hi mein ja-e-qayam paida kar ho jis tarah guzar aandhi ki tarah manzil se qadam badha talab-e-tez-gam paida kar ye anjum-o-mah-o-khurshid ho chuke budhe nai tajalli-e-baala-e-baam paida kar na reng mausami kidon ki tarah pasti par falak se bhi koi uncha maqam paida kar jis anjuman mein guzar ho tera mahak jae saba ki tarah shagufta khiram paida kar bahut udas hai ab rang-e-mahfil-e-hasti jabin se subh to zulfon se sham paida kar ho ek hath mein shamshir dusre mein qalam unhi ke zor se duniya mein nam paida kar nigah-e-mast se saghar bahut piye tu ne ab aur hi koi 'makhmur' jam paida kar