wafa ki shan wo lekin kabhi mere na hue hai meri jaan wo lekin kabhi mere na hue unhin ka zikr ghazal bhi wahi fasana bhi sukhan ki aan wo lekin kabhi mere na hue nasha hai un ki sada ka ki dhadkanen meri raha guman wo lekin kabhi mere na hue gulon mein rang unhin se mahak mahak un se chaman ki shan wo lekin kabhi mere na hue wahi hain shams o qamar bahr o bar mere 'mita' hain ek jahan wo lekin kabhi mere na hue