wafa ko tark karun ye mera shiar nahin na ho bala se kisi ko jo eatibar nahin mere sukun ki duniya ujadne wale bata ki aur tujhe koi ikhtiyar nahin nigah uthte hi mayusiyon mein dub gai tere na hone se rangini-e-bahaar nahin mohabbat aur zamane ka jabr are tauba ki un se arz-e-mohabbat ka ikhtiyar nahin nashat mein bhi jhalakta hai rang-e-nakaami qarar mein bhi koi surat-e-qarar nahin