wafa-sarisht hun duri mein bhi mohabbat hai

wafa-sarisht hun duri mein bhi mohabbat hai
akele rahne mein lekin badi aziyyat hai

ye jagti hai to phir der tak jagati hai
mere wajud mein soi hui jo wahshat hai

jahan pe ishq ki sarhad junun se milti hai
wahan pe aa ke mile wo agar mohabbat hai

bahut hain khwab magar khwab hi se kya hoga
hamare bich jo hail hai wo haqiqat hai

wo daur aaya ki wo bhi gharon ko chhod gae
jo sochte the ki ab mustaqil sukunat hai

samajh rahi thi main apne qayam ko manzil
khabar nahin thi ki aage bhi ek hijrat hai

bahut se log dilon mein chhupae baithe hain
ye 'fatima' hi nahin hai jise shikayat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close