wafur-e-shauq-e-jalwa mein dua ko bhul jate hain mohabbat karne wale to khuda ko bhul jate hain usulon par jahan bhi maslahat tarjih pati hai wahin ahl-e-gharaz apni wafa ko bhul jate hain hazaron thokaren milti hain hum ko dahr-e-fani mein agar duniya mein hum teri raza ko bhul jate hain mohabbat karne wale to jahan mein apne dilbar ki wafa ko yaad rakhte hain jafa ko bhul jate hain khuda ka nam yun rakhte to hain wird-e-zaban waiz tamasha hai magar ahl-e-khuda ko bhul jate hain wafur-e-zar wafur-e-aish mein to barha 'raushan' bahut se log aise hain khuda ko bhul jate hain