wahan ab ja ke dekhen humse kya irshad karte hain

wahan ab ja ke dekhen hum se kya irshad karte hain
qaza kahti hai chaliye aap ko wo yaad karte hain

janab-e-waiz-o-pir-e-mughan kaamil to hain donon
wo kuchh irshad karte hain ye kuchh irshad karte hain

pae tazim-e-dard uthta hai ai nawak-fagan dil mein
qadam-ranja jo tere nawak-e-bedad karte hain

kabhi karte hain hum baada-parasti ja ke kabe mein
kabhi aa kar haram se mai-kade aabaad karte hain

na chhoda sath mahshar tak hamara tu wo munis tha
gham-e-marhum tujh ko khuld mein hum yaad karte hain

wo hans kar hum se kahte hain paden is chah par patthar
jo hum un se bayan-e-sakhti-e-farhad karte hain

qafas se chhut ke bhi hum qaid hain dam-e-mohabbat mein
'wasim' aazad kar ke bhi wo kab aazad karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close