wahan pahunch ke ye kahna saba salam ke baad ki tere nam ki rat hai khuda ke nam ke baad wahan bhi wada-e-didar is tarah tala ki khas log talab honge bar-e-am ke baad gunahgar ki sun lo to saf saf ye hai ki lutf-e-rahm-o-karam kya phir intiqam ke baad talab tamam ho matlub ki agar had ho laga hua hai yahan kuch har maqam ke baad wo khat wo chehra wo zulf-e-siyah to dekho ki sham subh ke baad aae subh sham ke baad payam-bar ko rawana kiya to rashk aaya na ham-kalam ho us se mere kalam ke baad abhi to dekhte hain zarf baada-khwaron ka subu o khum ki bhi thahregi daur-e-jam ke baad ilahi 'asi'-e-betab kis se chhuta hai ki khat mein roz-e-qayamat likha hai nam ke baad