wahi dil ko hai yar-e-jaani ke sath

wahi dil ko hai yar-e-jaani ke sath
jo rishta hai dariya ka pani ke sath

hamin rah gae be-zabani ke sath
hue khatm sab us kahani ke sath

badha aur girye se soz-e-darun
bhadakti gai aag pani ke sath

kahin ye zamane ki rau to nahin
subuk-sair kya hai girani ke sath

har ek aan us ka alag rang hai
use dekhiye kis nishani ke sath

chalo mauj wo bhi kinare lagi
ulajhti bahut thi rawani ke sath

bhida kar to dekho maza aaega
kisi din nai ko purani ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close