wahi ek pukar wahi fughan meri mohr-e-dida-o-lab mein hai hai karah jo shab-o-roz ki jo faza ke shor-o-shaghab mein hai kabhi din dhale pe ho samna kabhi did aakhir-e-shab mein hai hai yahi maal-e-talab mera tu meri ibaadat-e-rab mein hai kabhi faslon ki masafaton pe ubur ho to ye kah sakun mera jurm hasrat-e-qurb hai to yahi kami yahan sab mein hai sahar-e-azal ko jo di gai wahi aaj tak hai musafiri use tai karen to pata chale kahan kaun kis ki talab mein hai koi aur tarz-e-hayat bhi mujhe ab rahin-e-karam bata ki hai baat meri giraftani meri chup bhi su-e-adab mein hai