wahi gesuon ki udan hai wahi aarizon ka nikhaar hai ye kisi ki shan-e-warud hai ki meri nazar ka waqar hai teri khud-pasand nawazishen mera ji lubha ke guzar gain magar uf ye dida-e-mutmain jo gada-e-rah-guzar hai abhi konpalon mein wo ras kahan jo gulon ka rup badal sake abhi gul-farosh ke hath se hamein ehtiyaj-e-bahaar hai meri sadgi ke khulus ne tujhe bakhsh di wo barahnagi jo nafas nafas ki hai tishnagi jo nazar nazar ki pukar hai yahi dil-fareb tajalliyan mujhe do-jahan se aziz hun magar ai jamal-e-sahar-numa mera ghar jo tira-o-tar hai gham-e-zat se meri zindagi gham-e-kaenat mein dhal gai kisi bazm-e-naz mein kho ke bhi mujhe kaenat se pyar hai