wahi harf hain wahi zarf hain wahi roz-o-shab hain sarab se wo malahaton ka khumar sa wo mohabbaton ke sahab se na kisi kaman mein tir hai na gulab hain kisi hath mein mere shahr ke sabhi log hain kisi ajnabi si kitab se tere baad bhi wahi dhang hain wahi nakhl-sokhta rang hain wahi intizar-e-tuyur hai wahi barg-e-sabz ke khwab se jo kabhi ye bab-e-alam khula the har ek halqa-e-chashm mein pas-e-parda-e-gham-e-dostan faqat apne apne azab se meri dosti bhi ajib thi wahi aashna wahi ajnabi kabhi phul bais-e-zakhm tha kabhi sang bhi the gulab se