wahi manazir wahi musafir wahi sada ka jada tha jab uftad padi thi mujh se main hi dur uftada tha ek ummid-o-bim ke aalam mein basti dam sadhe thi aur hawa ke tewar the pani ka aur irada tha suraj bhi pahne the main ne aur tare bhi odhe the din mein aur mera pairahan shab mein aur labaada tha us ne mujh ko dariya kar dala ye us ki azmat hai main to qatre ki surat bhi rahne par aamada tha gathdi sar se kya utri main apni chaal hi bhul gaya tan kar chalta tha main jab tak sar par bojh ziyaada tha par ek roz mera beta meri masnad par aa baitha jab tak meri man zinda thi main ghar mein shahzada tha ab 'saifi' ki baaton mein wo pahle jaisi baat kahan shahr mein aane se pahle ye shakhs nihayat sada tha