wahi mohtaram rahe shahr mein jo tafawuton mein lage rahe jinhen pas-e-izzat-e-harf tha wo riyazaton mein lage rahe unhen tum daraazi-e-umar ki nahin, hausle ki duaen do wo jo ek nisbat-e-be-aman ki hifazaton mein lage rahe mere hath mein tere nam ki wo lakir mitti chali gai mere chaara-gar mere dard ki hi wazahaton mein lage rahe unhen be-yaqini-e-subh ki main dalil dun bhi to kis tarah wo jo ibtida mein hi intiha ki zamanaton mein lage rahe teri hairaten teri aankh mein hi tamam umr padi rahin teri shaeri ke sabhi hunar to shikayaton mein lage rahe