wahi tawil si rahen safar wahi tanha bada hujum hai phir bhi hai zindagi tanha tere baghair ujale bhi tira-saman hain bhatak rahi hai nigahon ki raushni tanha jahan jahan bhi gai gham ke aas-pas rahi kisi maqam pe dekhi nahin khushi tanha shuur-e-did ka anjam dekhiye kya ho hujum-e-wahm-o-guman aur aagahi tanha khud apne shahr mein bhi ab to hum kuchh aise hain dayar-e-ghair mein jaise ek ajnabi tanha kisi ne sath nibaha bhi to bichhadne ko rahi hai apne parayon mein zindagi tanha khud apne-ap se beganagi ka aalam hai sharik-e-bazm-e-nigaran bhi hain 'rishi' tanha