wahi zamin wahi dur aasmanon ke dinon ki baat nahin khel hain zamanon ke diya-salai ki tili bhi ab daraati hai nazare yaad hain jalte hue makanon ke hamare panw ki zanjir bante jate hain saje-sajae hue silsile dukanon ke zamin baal barabar nahin hamare nam banate rahte hain naqshe nae makanon ke udas kar gaya wo 'asad'-e-jawana-marg ki is aziz mein kuchh taur the diwanon ke