wahima ban gaya khayal ki tu main hun is baat par nihaal ki tu zindagi mil rahi thi logon ko mere lab par yahi sawal ki tu hum ki tanha hi laut aae the dil ko lekin raha malal ki tu hijr ke la-zawal lamhon mein ek hi muddaa visal ki tu dasht ki be-karan masafat mein sochna bhi hua muhaal ki tu sans hoti hai jab bahaal kahin bolta hai tera kamal ki tu sirf nisbat hai mo'atabar 'asim' warna teri kahan majal ki tu