wahin se jab ki ishaara ho khud-numai ka ajab ki banda na dawa kare khudai ka mile jo rutba tere dar ki jabah-sai ka to ek silsila ho shahi-o-gadai ka nahin hai faiz mein khissat wa-lek paida hai tafawut aaina-o-sang mein safai ka yahan jo ishq hai betab-e-jalwa-e-didar wahan bhi husn muharrik hai khud-numai ka buton ke samne but-gar ghise jabin-e-niyaz main shefta hun teri shan-e-kibriyai ka na kar kisi ki burai na ban bhale se bura bhala bhala hai bura kaam hai burai ka banaen bigdi hui ko to ek baat bhi hai bigadna nahin mushkil bani-banai ka utha hijab to bas din-o-dil diye hi bani janab-e-shaikh ko dawa tha parsai ka tumhaare dil se kudurat mitae to jaanen khula hai shahr mein ek mahkama safai ka hawas hai gar sar-o-saman ke jama karne ki talash kar sar-o-saman be-nawai ka siwae ishq nahin koi rahbar-e-chaalak wahan khirad ko nahin hausla rasai ka usi ka wasf hai maqsud sher-khwani se usi ka zikr hai mansha ghazal-sarai ka nahin hai ab ke zamane ki ye rawish zinhaar main yaadgar hun 'khaqani'-o-'sanai' ka