wahshat hai mere dil ko to tadbir-e-wasl kar

wahshat hai mere dil ko to tadbir-e-wasl kar
panw mein us ghazal ke zanjir-e-wasl kar

zakhmi shikar hun main tera mar hi jaunga
pahlu se mat juda tu mere tir-e-wasl kar

ek lahza teri baaton se aata hai dil ko chain
hamdam khuda ke waste taqrir-e-wasl kar

dast-e-daraaz apne ko tauq-e-gulu mera
tu ek dam to ai kham-e-shamshir-e-wasl kar

ai mah ye teri dur-kashi kab talak bhala
ek shab to tu irada-e-shab-gir-e-wasl kar

sina pe sina khisht pe goya ki khisht hai
ab ai falak nazara-e-tamir-e-wasl kar

tohmat lagegi pas bithane se faeda
nahaq na mujh ko murid-e-taqsir-e-wasl kar

mat chandni mein aa ki zamana ghayur hai
is kaam ko supurd-e-shab-e-qir-e-wasl kar

shayad ki padh ke narm ho dil us ka 'mushafi'
ja kar hawale us ke ye tahrir-e-wasl kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close