wahshat ka rang barsar-e-paikar phir hua

wahshat ka rang barsar-e-paikar phir hua
ek aks aaine se numudar phir hua

darpesh ek chashma-e-zahrab tha magar
dil tishna-lab tha is liye mai-khwar phir hua

phir hans pada nazar mein gul-pairahan ka chaak
mausam junun ka bais-e-azar phir hua

suraj ne wo suluk kiya zindagi ke sath
insan tirgi ka parastar phir hua

mujh mein simat ke rah gain duniya ki wusaten
udne chala tha main ki giraftar phir hua

bas ek hi nigah mein gum ho gae hawas
'najmi' jo us hasin ka didar phir hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close