wahshat mein yaad aae hai zanjir dekh kar hum bhagte the zulf-e-girah-gir dekh kar jab tak na khak ho jiye hasil nahin kamal ye baat khul gai hamein iksir dekh kar uzr-e-gunah dawar-e-mahshar se kyun karun gham mit gaya hai nama-e-taqdir dekh kar hun tishna-kaam-e-dasht-e-shahadat zi-bas ki main girta hun aab-e-khanjar-o-shamshir dekh kar 'arif' chhupa to hum se wale hum to pa gae jo baat hai ye rang ki taghir dekh kar