waise to kam hi miyan ahl-e-junun rote hain

waise to kam hi miyan ahl-e-junun rote hain
dekhne wale samajhte hain ki khun rote hain

puchhne wale ba-zid hain ki bataya jae
rone walon ko nahin yaad ki kyun rote hain

mujh se mat puchh ki tafriq nahin kar sakta
main to hanste hue logon ko kahun rote hain

wo bahut khush hai naya ghar hai naya shahr magar
ganw mein us ki haweli ke sutun rote hain

tum ko hum jaise magar khush hi nazar aaenge
ye jo hum jaise hain aankhon ke darun rote hain

us ki aankhon ko kahan aata tha rona 'sahir'
main ne phir ro ke dikhaya tha ki yun rote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close