wajud mit gaya parwanon ke sambhalne tak dhuan hi uthta raha shama ke pighalne tak kise nasib hui us ke jism ki khushbu wo mere sath raha rasta badalne tak agar charag ki lau par zaban rakh deta zaban jalti bhi kab tak charag jalne tak jahan bhi thahroge ruk jaega tumhaara wajud tumhaare sath chalega tumhaare chalne tak abhi se rah mein nazren bichha ke mat baitho palat ke aaega wo aaftab dhalne tak hawa ka kya hai na jaane ye kab badal jae badal chukega zamana tere badalne tak sukun kis ko mila zindagi ki rahon mein ghubar uthta raha qafila nikalne tak