wan kamar bandhe hain mizhgan qatl par donon taraf yan saf-e-ushshaq hain zer-o-zabar donon taraf zulf ka sar-basta kucha mang ka rasta hai tang dil teri shamat hai mat ja be-khatar donon taraf dair-o-kaba mein tafawut khalq ke nazdik hai shahid-e-mani ka har surat hai ghar donon taraf hai wo dariya mein nahata main hun gharq-e-ab-e-sharm kuchh ajab ek majra hai turfa-tar donon taraf ishq wo hai jis ke hathon qumri o bulbul ke aah zer-e-sarw-o-gul pade hain baal-o-par donon taraf chashm mein kya nur hai dil mein bhi us ka hai zuhur zahir-o-baatin wahi hai jalwa-gar donon taraf aamad-o-shud mein hai dekhi sair-e-basti-o-adam hum ko is mehman-sara mein hai safar donon taraf shama kuchh jalti nahin parwana bhi deta hai ji sozish-e-ulfat se hai ji ka zarar donon taraf panja-e-mizhgan pe rakhkhun kyun na main dil aur jigar nazr ko laya hun teri kar nazar donon taraf dil mein gar aata hai to aa jaan-e-man aankhon ki rah is makan-e-dil-kusha ke hain ye dar donon taraf kuchh habab o bahr mein mat farq samjho ai 'nasir' dekho tuk chashm-e-haqiqat khol kar donon taraf