wan se ghar aa ke kahan sona tha subh tak yaad thi aur rona tha jab hui subh to bistar se phir uth girya-e-khuni se munh dhona tha dho chuke munh ko to kisht-e-dil mein tukhm gham ka hamein phir bauna tha bo chuke tukhm to paya ye samar ki jigar-kawi thi ji khona tha ji ke khone ke ho darpai ye kaha ki nasibon mein yahi hona tha hona qismat ka kahen kya ta-sham hum the aur ghar ka bas ek kona tha kone lag baithe to 'jurat' ai wae! phir wahi raat thi aur rona tha