waqif the kahan hum dil-e-na-chaar se pahle

waqif the kahan hum dil-e-na-chaar se pahle
kam-bakht mohabbat ke is aazar se pahle

nazren to uthate zara diwar se pahle
ek aan to mil baithte takrar se pahle

diwana koi laenge mujh jaisa kahan se
socha nahin ye aap ne inkar se pahle

pa-basta jigar-e-sokhta dil-gir zaban band
sau zulm sahe dida-e-khun-bar se pahle

ye koi naya tarz-e-taghaful to nahin hai
aisi to na thi dosti aaghyar se pahle

aasuda-e-gham-ha-e-khizan ho gae aakhir
phulon ne kahan puchha hamein khar se pahle

dil-sozi o aashufta-sari tohmat o dushnam
kya kya nahin dekha rasan-o-dar se pahle

'sarwar' ne sunai hi nahin ahl-e-khirad ko
apni ye ghazal jurat-e-izhaar se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close