waqt-e-akhir hamein didar dikhaya na gaya hum to duniya se gae aap se aaya na gaya raaz-poshi se kabhi hath uthaya na gaya nabz dikhlae maraz apna bataya na gaya phut nikli na ruki sine ki andar khushbu mushk tha dagh-e-mohabbat ki chhupaya na gaya mera dil kis ne liya nam bataun kis ka main hun ya aap hain ghar mein koi aaya na gaya hath utha baithe hum is zindagi-e-shirin se gham judai ka ye tha talkh ki khaya na gaya jab kiya qasd ki ehsan kisi ka lun main aabru ghatne lagi hath badhaya na gaya aaj wo haal hai apna jo kisi ne puchha ho gae qufl-e-dahan-sharm bataya na gaya ranj puchha jo mohabbat mein to rahat samjhe dukh uthaya kabhi dil us se uthaya na gaya kuchh na puchho lab-e-shirin ki halawat hum se ye wo halwa hai kabhi bant ke khaya na gaya haif aankhon ne bhi dekhi na meri tishna-labi munh mein pani mizha-e-tursi chuwaya na gaya na-tawani ka bura ho hum udhar ko jo chale tiwr aa aa gae gir gir pade jaya na gaya maghz chata kabhi andoz-o-nasihat wale gham hamara kisi gham-khwar se khaya na gaya dost kab dost ka hota hai mukhill-e-rahat so gae panw to hathon se jagaya na gaya kab harara dil-e-betab ka rone se mita shoala-e-barq kabhi munh se bujhaya na gaya aamad-e-yar ki kya kya na suni garm khabar umr-bhar rasta dekha koi aaya na gaya jis ke juya hue hum dhundh nikala us ko aql gham hai ki mizaj aap ka paya na gaya us ke kuche se zaifi mein bhi utthe na qadam sar pe dhup aa gai diwar ka saya na gaya qata jab se hui ummid-e-visal-e-jaanan is tarah baith gaya dil ki uthaya na gaya jagna hi meri taqdir mein kya likkha tha shab-e-furqat mein ajal se bhi sulaya na gaya qasd tha 'bahr' ka but-khane se kabe ki taraf la-ubaali hai khuda jaane gaya ya na gaya