waqt-e-akhir kaam jazb-e-na-tamam aaya to kya hichkiyon ki shakl mein un ka payam aaya to kya rah gai rindon mein jab saghar uthane ki na tab ab taghaful-ashna saqi-ba-jam aaya to kya waqt hi par le ke ubhrega payam-e-subh-e-nau dubte suraj ko taron ka salam aaya to kya lutf to jab hai ki jalwa ho ba-qadr-e-zarf-e-did ban ke barq-e-tur wo baala-e-baam aaya to kya aaftab-e-subh ishrat ki ziyaen aur hain sham-e-gham le kar agar mah-e-tamam aaya to kya mai-kada viran hua bezar mai-kash ho chuke ab agar saqi ba-husn-e-intizam aaya to kya rah gaya qaem zulekha-e-mohabbat ka waqar yusuf-e-masum par gar ittiham aaya to kya ud chuki jab nind aankhon se ba-faizan-e-junun ab sahar aai to kya hangam-e-sham aaya to kya baat to jab thi ki rahte hosh mein apne kalim jalwa kho jaane pe andaz-e-kalam aaya to kya