waqt ke dar par bhi hai bahut kuchh waqt ke dar se aage bhi

waqt ke dar par bhi hai bahut kuchh waqt ke dar se aage bhi
sham-o-sahar ke sath bhi chaliye sham-o-sahar se aage bhi

aql-o-khirad ke hangamon mein shauq ka daman chhut na jae
shauq bashar ko le jata hai aql-e-bashar se aage bhi

dar-o-rasan ki resha-dawani gardan-o-sar tak rahti hai
ahl-e-junun ka panw raha hai gardan-o-sar se aage bhi

mere ghar ko aag laga kar ham-sayon ko hansne do
shoale badh kar ja pahunchenge mere ghar se aage bhi

ishq ne rah-e-wafa samjhai samjhane ke baad kaha
waqt pada to jaana hoga rahguzar se aage bhi

shaer fikr-o-nazar ka malik dil ka sultan ghar ka faqir
duniya ka pamal qadam bhi duniya bhar se aage bhi

aankhen jo kuchh dekh rahi hain us se dhoka khaen kya
dil to 'ajiz' dekh raha hai hadd-e-nazar se aage bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close