waqt ke har ek naqsh ka mani itna badla badla hoga mere wahm-o-guman mein kab tha ishq ka manzar aisa hoga aaj mujhe apni aankhon se us ke qurb ki khushbu aai meri nazar se us ne shayad apne-ap ko dekha hoga lams ke is kore talab mein chand ka pahla aks tumhi ho kaise nur-jahani sur mein kis kis se wo kahta hoga subh sunahri kyun hai itni sham mein itni lali kyun hai waqt ne shayad teri aankh ki shabnam se munh dhoya hoga aaj main aaine mein apni surat tak pahchan na paya soch raha hun mujh se ziyaada kaun is shahr mein tanha hoga chhod 'faqih' ye honi ka sur anhoni ki tan lagao honi mein hai koi hunar kya honi ko to hona hoga