waqt ke hathon hikayat-e-ana bhul gae hum wafa bhul gae aap jafa bhul gae kis ko samjhaen ye samjhane ki baaten kab hain wasl kab yaad raha hijr mein kya bhul gae kya chaman chhoda palat kar nahin dekha us ko rang-e-gul bu-e-saman baad-e-saba bhul gae bujh gai sham-e-junun lut gai bazm-e-yaran ahl-e-dil sozish-e-jaan hoti hai kya bhul gae aisa viran hua kaba-e-hasti ya-rab rah gae hath uthe harf-e-dua bhul gae husn sarshaari-e-andaz-o-ada se guzra aur sab ahl-e-wafa rasm-e-wafa bhul gae kam-ayari ne khuda-soz banaya aisa but to sab yaad rahe ek khuda bhul gae kaun soche bhala kyun dil nahin paband-e-namaz jab sar-e-sham azanon ki sada bhul gae shahr jaanan mein nahin puchhne wala koi kaun ho aae ho kyun tum yahan kya bhul gae khub! 'sarwar' tumhein ummid-e-karam yaad rahi kya sitam hai ki gunahon ki saza bhul gae