waqt ki aankh mein sadiyon ki thakan hai, main hun dhul hote hue raston ka badan hai, main hun phir tera shahr ubhar aaya hai mere har su phir wahi log, wahi tarz-e-sukhan hai, main hun ek tarik sitare ka safar hai darpesh aur ummid ki ek taza karan hai, main hun ek jangal hai, ghane ped hain, ek nahr hai aur ek shikari hai, koi zakhmi hiran hai, main hun kaun batlae tujhe ai mere ham-zad 'nabil' tere ham-rah jo ek aur badan hai, main hun