waqt ki shakl mein chalta hai jo suraj hi to hai raat ko din mein badalta hai jo suraj hi to hai hain ayan ret ke dariyao mein partaw us ke qatra-e-ab mein dhalta hai jo suraj hi to hai ghaiz ye kis ka hai pani ke azabon mein nihan kohsaron ko nigalta hai jo suraj hi to hai chehra-e-subh bhi wo sham bhi wo raat bhi wo roz lamhon mein pighalta hai jo suraj to hai chaudhwin shab ko ujalon se saja deta hai kaun ban ke mahtab nikalta hai jo suraj hi to hai raushni hi to har ek zist ka masdar hai 'miraq' bin dikhe sanson mein jalta hai jo suraj hi to hai