waqt ki tarah tere hath se nikle hue hain hum sitare hain magar raat se nikle hue hain khamushi hum pe giri aakhiri mitti ki tarah aise chup hain ki har ek baat se nikle hue hain hum kisi zoam mein naraaz hue hain tujh se hum kisi baat pe auqat se nikle hue hain ye mera gham hai mere dost magar tu ye samajh ashk to shiddat-e-jazbaat se nikle hue hain hum ghulami ko muqaddar ki tarah jaante hain hum teri jit teri mat se nikle hue hain