waqt ne lute hain hasti ke khazane kitne khak ka dher hue qasr na-jaane kitne khwab ehsas nazar yaad tasawwur dhadkan main ne tere liye rakkhe hain thikane kitne aaj manzil pe pahunch kar mujhe ehsas hua rah mein chhut gae dost purane kitne dil wo panchhi hai kabhi dam mein aata hi nahin chuk jate hain nigahon ke nishane kitne jab bhi tabir ki aankhon se milain aankhen ruh ko chhed gae khwab suhane kitne daman-e-sabr na chhodenge kabhi ahl-e-wafa tum banaoge meri jaan bahane kitne kya bataun main rah-e-sher-o-sukhan mein ai 'atib' naqsh chhode hain meri fikr-e-rasa ne kitne