war bharpur kiya us ne ana par meri khud bhi maghmum hua aah-o-buka par meri waqt-e-akhir bhi teri khair khuda se mangi zindagi khatm hui harf-e-dua par meri sach bata ishq mujhe sakht pareshan hun main kyun khafa hota nahin dost khata par meri reza reza hai meri jaan talab mein jis ki us ko tashkik hai afsos-e-wafa par meri us ke hathon ki nafasat pe giran thi mehndi aa gai yaad use rasm-e-hina par meri rang ghaalib na sahi ranj-e-mohabbat hi sahi khush nazar aate hain naqqad nawa par meri us ka ikhlas musallam hai khuda khair kare dost pahuncha nahin 'tanwir' sada par meri