wasl ki banti hain in baaton se tadbiren kahin aarzuon se phira karti hain taqdiren kahin be-zabani tarjuman-e-shauq behad ho to ho warna pesh-e-yar kaam aati hain taqriren kahin mit rahi hain dil se yaaden rozgar-e-aish ki ab nazar kahe ko aaengi ye taswiren kahin iltifat-e-yar tha ek khwab-e-aghaz-e-wafa sach hua karti hain in khwabon ki tabiren kahin teri be-sabri hai 'hasrat' kham-kari ki dalil girya-e-ushshaq mein hoti hain tasiren kahin