wasl ki raat mein hum raat mein bah jate hain wasl kab karte hain jazbaat mein bah jate hain aab-ju hum hain pa dariya ke hamare sabhi khwab radd-e-tabir ki barsat mein bah jate hain bar bar aate hain hum apne hamal mein lekin shahr ki sazish-e-isqat mein bah jate hain jism ke apne bhi jadu hain pa kachche hain abhi ruh ki mashq-e-tilismat mein bah jate hain tah-e-dariya-e-karam der se khulti hai so hum upar upar ki inayat mein bah jate hain khatm-e-majlis pe na aaya kabhi rona hum ko sare aansu to shuruat mein bah jate hain