wasl ki shab guzar na jae kahin tera bimar mar na jae kahin yaad mein un ki mere ashkon ka aaj paimana bhar na jae kahin shab-e-furqat hai aur tanhai dil ki dhadkan thahar na jae kahin waqt main ne badalte dekha hai dar hai tu bhi mukar na jae kahin ho sake gar to qaid kar lo ise waqt yun hi guzar na jae kahin aalam-e-shauq mein kahin 'zishan' tu bhi had se guzar na jae kahin