wasl ki shab mein bhi hum baham digar roya kiye

wasl ki shab mein bhi hum baham digar roya kiye
main judai se wo mere haal par roya kiye

us ne zanu ghair ka apne rakha jab zer-e-sar
apne zanu par hum apna rakh ke sar roya kiye

us ne aansu ghair ke ponchhe jab apne hath se
ham-nashin ye majra hum dekh kar roya kiye

ho gaya mushkil meri mizhgan se mizhgan ka milap
hail ek dariya hua hum is qadar roya kiye

surkh-ru be-abrui mein bhi hum 'sanat' rahe
khushk jab aansu hue lakht-e-jigar roya kiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close