wasta hum se to pahle hi wo kam rakhte hain wo hamin hain jo mohabbat ka bharam rakhte hain khol den bhed hamare na kisi din aankhen is liye jaan ke hum aankhon ko nam rakhte hain main ada-band nahin par ye suna hai main ne wo ada khas hai jo mere sanam rakhte hain bantte rahte hain muskanen hum apni sab mein aur chhupa kar dil-e-hamdard mein gham rakhte hain dekh lete hain bula kar unhen chahen jis dam kam se kam itna to hum aankhon mein dam rakhte hain ho na jae kahin naraaz mera wada-shikan 'fauziya' is ke liye sar ko bhi kham rakhte hain