wasta koi na rakh kar bhi sitam dhate ho tum dil tadap uthta hai ab kahe ko yaad aate ho tum meri sab aazadiyan banda-nawazi par nisar ai khosha qaid-e-wafa zanjir pahnate ho tum late ho kaif-e-tarb dete ho paigham-e-hayat kya bataun sath kya le kar chale jate ho tum is tarah chhupte ho jalwon ki farawani ke sath main samajhta hun ki jaise samne aate ho tum sun ke mera haal hain aankhen na malne ke wajuh ye bhi ho sakta hai shayad ashk bhar late ho tum bhej kar khush-bu hawaon mein ba-andaz-e-payam kya ye sach hai aaj yun meri taraf aate ho tum dil-guzari bhi liye hai imtiyaz-e-husn-o-ishq khun ro deta hun main aur ashk pi jate ho tum chand mein rangat tumhaari phul bhi tum se base khinchti hain dil fazaen yaad aa jate ho tum tum se hai aarasta jazbaat ka taza chaman jaisi rut hoti hai waisa phul ban jate ho tum zikr is ka hai 'raza' ne kin wafaen ya nahin tum ne aakhir kya kiya kahe ko sharmate ho tum