wo aadmi to hasin hai bhala bhala sa hai

wo aadmi to hasin hai bhala bhala sa hai
ghamon ki dhul se chehra ata ata sa hai

fasil-e-shahr se aage na jaiyega abhi
ghaliz khun ka dariya chadha chadha sa hai

giran na guzre mujhe sukhte hue lamhe
dilon mein pyar ka jazba luta luta sa hai

main apne ganw mein jaun to kaun pahchane
mahakte khun ka rishta bujha bujha sa hai

main chahta hun muqaddas zamin ki khushbu
par aasman meri jaanib jhuka jhuka sa hai

kahan gae teri sanson ke narm nakhlistan
ye mere jism ka sahra tapa tapa sa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close