wo aaj mujh se jab mili to dhund chhat gai magar na jaane kya hua zamin hi phat gai wo lamha ek chand tha mahakti raat ka wo chand bujh saka na tha ki raat kat gai bayaz-e-dard jab khuli to dil hansa magar guzishta ahd ki hawa waraq ulat gai hamara aisa daur bhi raha ki har gali jidhar se hum guzar gae simat simat gai tamam khushk jism sabz sabz ho gaya wo ek pyasi bel mujh se jab lipat gai khayal us ka aaya to khizan ki sham kya kabhi kabhi to umr ki nadi palat gai